Friday, 4 March 2011

Tanhai mein khat aus ne mera padha hoga

tanhai mein khat aus ne mera padha hoga
dil aus ka bhala kaboo mein kaise raha hoga

jab sakhyon ne ause majboor kya hoga
tab sarmake naam aus ne mera liya hoga

jab ratoon ko yaadon ki purwai chali hogi
aus ke dil-e-nazuk mein tufaan uttha hoga

ek awara shayer kehtein hai jise IMTIAZ
akhsar tumhe apne khawaboon mein mila hoga

No comments:

Post a Comment